Saturday, April 12, 2014

Dance of Democrazy-khud ka ho mat; to hai desh salaamat!!!



kalam mein rehta tha bandh main,
kaagaz par shabd ban kar behta main,
woh shabd jo kabhi itihaas badal de,
woh lafz jo siyaasat theher de,

main syaahi aur yeh hai meri kahaani,
soch ko kaagaz par utaarte beet gayi jawaani,
ab ke baras nikal aaya kalam se baahar main,
bade josh mein hoon main karne kuchh masti, kuchh ungli,

is baari apnaao mujhko, likho khud apni kahaani,

mere ek daag se laao is gandagi mein safedi,
ya raho apne hi dhun mein; jaise rahe the itne saal,
dekhte hue desh hota behaal,

apna ho mat to hoga desh salaamat,

mujhe sajaao apne ungliyon par, main naye yug ka hoon gehna,
warna har baar ki tarah apne haath malte rehna,
chalo banaao apne khud ki hukumat,

main daag hoon ek badlaav ka ,

main mat hoon ek chunaav ka,
main ummeed ek naye kal ka,
main ek tinka desh ke rang ka,

dikha ungli, jataa apna mat!!

khud ka ho mat; to hai desh salaamat!!!








No comments: