Friday, August 23, 2013

Haal e HIND!!! jaane kahan gaye woh din!!!!

Jaane kahan gaye woh din, karte the kharche shaan se,
Nikalte the paise haath se, khaate the  phatte pet bhar,
nikalte the dakaarein shaan se; jaane kahan gaye woh din;

Jaane kahan gaye woh din – keemat thi theek rupaiye ki,
Chaahe kahin bhi tum raho – paisath ho ya sattar sahi,
Karte rahenge raah mein, aansoon ke sajde hum sabhi;



Jaane kahan gaye woh din, rote the pyaaz kaat te     ;
ab rote hain bas usko dekh ke, jaane kahan gaye woh din!!!
chaahenge tum ko pet bhar, tum ko na bhool paayenge;

mere kadam jahan pade, barbaadi ka samaa dikhe;
sajde nahin mayyat dikhe, yaar gaya bhaad mein;
jaane kahan gaye woh din, mujhko rula rula diya,
badhte hue daam ne, 

apne budget mein aaj kal,; aaloo bhi lage hai phal,
apni nazar mein aaj kal; din bhi andheri raat hai,
asha hi apne saath tha; nirasha hi apne saath hai;







       

No comments: