Chal lagaaye chingaari aaj, chal lagaaye chingaari aaj,
mitya aur paap ho jaaye naash, chal lagaaye chingaari aaj,
putla to jal hua hai raakh, putla hai aakhir putle ka kya?
Ra.One bhi kabhi maraa hai kya?
Ramayan ke sat jug se aaj,
kalyug ke is dal dal mein,
Ram aur Ra.one ka hai yeh mel;
ek ke bina dooja hai fail,
Roop badle kabhi rang badle,
badla nahin khud; kirdaar badle
paap ka hona hai ek sat,
par punya ko aaj de raha hai mat,
sansad bana naya maidan - e - jung,
satta aur paisa- do baazoo ek ang,
dekh rahe hain is yug mein hum,
naya ra.one aur uske naye rang;
Kalyug mein Ram ko phir hai aana,
Ramayan ke dasha hara ko phir se dauraana,
par Ra.one bhi kabhi maraa hai kya?
Ra.one koi aur- hum mein nahin hai kya?
putla to jal hua hai raakh; putla hai aakhir putle ka kya;
jab tak hum mein Ra.one hai basta;
raakh ke khaakh se Lankesh hai hasta;
"agle saal tu mujhe phir maarega,
Dashehre ka din phir se manaayega,
main to tu hoon; mujhe jalaa kar paayega kya;
Dashehre ka din phir se manaayega,
main to tu hoon; mujhe jalaa kar paayega kya;
Ra.one bhi kabhi maraa hai kya
Ra.one bhi kabhi maraa hai kya?"
No comments:
Post a Comment