Sunday, June 27, 2010

meri aawaaz suno !!! MAIN BHOPAL HOON!!!!

Kaise bhooloon us qeher bhari raat ko,
jis ki yaad aaj bhi sehmaa deti ho,
main nahin jaanta: kiski thi galati,
main nahin jaanta: kaun chooka apne farz se,

main aaj bhi ghaayal hoon,
main Bhopal hoon,

jo ban raha tha anaaj ka maseeha,
kaise banaa woh zeher sabhi kaa?
apaahij aur laawaaris aaj main,
laakhon maut maraa us raat main,

main aaj bhi beemar hoon,
main Bhopal hoon,

jo the is haadse ke zimmedaar,
jaa pahunche gaye saat samandar paar,
waqt naa bhar paaya jo ghaav,
aaj bhi nahin sahi kisi ka haath aur kisi ka paav,

main aaj bhi dard mein hoon,
main Bhopal hoon,

siyaasaton ke badalte chaadar odhte odhte main ek kahaani ban gaya,
kabhi mera mazaak banaa aur kahi mera mazhaar,
aasmaanon se nahin hai mera ghila,
jab apnon ne hi diya hai aisa sila,

main tadap raha hoon,
main Bhopal hoon,

do dahshak beet chuke lekin nahin koi upaay,
baaton baaton mein hi beetein yeh saal bina koi jaanch ya safaai,
aur kitne barson tak main rahoon aise hi?
us zehereele dhue ke ghutan se maroon aise hi?

main aur ab kya kahoon?
main Bhopal hoon!!!!

Sriky

No comments: