chale jaa raha tha zindagi ke raaston par main,
na kisi dagar ka khayaal na kisi manzil ki talaash mein main,
apne zindagi ke pannon ko palate hue main,
apne zindagi ki raftaar ko thamaate hue main,
ruk sa gaya usi mod par usi jagah,
kahaan kho gayi meri zindagi, kya thi uski wajah,
jeevan ke is bhavandar ko kaise sametoon apne hatheliyon mein main,
zarre zarre ko jodkar bataaoon kaise apni daastan main,
ab waqt ko kaafi peechhe chhod aa chuka tha main,
phir se waqt ke saath kaise haath milaata main,
socha kuchh pal ke liye agar ruk jaaye zindagi,
beete waqt ko aaine mein dikhaaye zindagi,
dekhna chahta tha kis tarah aur kab badal gaya main
is qadar mashroof ho gaya ki khud hi se na mil saka main,
aaine ne kaha mujhse "ae bekhabar!!!"
kyon ban raha hai anjaan khud se!
kya nahin jaanta kab hui haalat yeh teri?
daulat ke nashe mein choor, aaj aaya hosh tujhe aur
aayi zaroorat meri!!!
main to tu hi hoon,tujhse koi alag nahin,
do chehre hain par rooh to ek sahi"
yeh baatein sunkar ud gaye hosh mere,
kya main is tarah badal gaya tha lagaate hue daulat ke phere?
khud se to tha main bewaaqif, apnon se hua tha begaana,
na ghar ka aur na khud ka tha koi thikaana,
aaine ka hokar shukrguzaar main,
kiya vaada dosti ka khud se,
jab khud ka rahoonga yaar main,
kaise rahoonga auron se door main

No comments:
Post a Comment