Thursday, October 4, 2012

CHiTThi AAYEGi AAYEGi CHiTThi AAyeGi!!!!!!

Chitthi aayegi aayegi chitthi aayegi

Chitthi aayegi aayegi chitthi aayegi

Bade dinon ke baad, hum bekaaron ke yaad

Ech AAR se chitthi …. Aayegi

Chitthi aayegi aayegi chitthi aayegi



Kuchh din baad



Oopar mera naam likha hai

Andar yeh paighaam likha hai

Oh din bhar mein marne wale

Aake phir naa jaane wale,



Saat samandar paar gaya tu

Onsite par diem khaa bhi gaya tu

Kaam ke kishten chhod aaya tu

Project ko to phod gaya tu



Kam kamaate hain ab hum kam udaate hain

Bahut zyaada hum bachaate hain,

Chitthi aayi hai aayi hai chitthi aayi hai

Chitthi aayi hai Ech AAR se chitthi aayi hai



Dooni ho gayi daam ki duniya,

Aante ban gaye khwaab ke puriyan,

kehte hain bazaar ke jhoole,

bhool gaya tu hum nahin bhoole,



is baras jo aayegi diwali,

deep nahin jeb jalenge khaali,

tere sang jo aayegi holi,

baithe rahenge ghar ya kholi,



pehle jab yeh khat milta tha

padh kar chehra muskaata tha

bandh hua yeh khel bhi ab to

jo bhi mile bas le lo usko,



doli mein baithegi behena

sasta to nahin hoga gehna,

main to bhai hoon; mera job hai

mere kaam ka haal buraa hai



ghar ki TV bhi ab le jaa,

badle mein kuchh paise de jaa,

maine paisa nahin kamaaya

is paise ne bahut bhagaaya,



panchhi pinjhdaa tod jaayega

doosre job mein bas jaayega

jaa jaa naukriyaan to hain kaafi,

auron ke paas bhi hai toffee



chitthi aaegyi aayegi chitthi aayegi

chitthi aayegi aayegi chitthi aayegi

badeeee dinon ke baad..hum bekaaron ke naam

Ech AAR se chitthi aayegi



No comments: